Jawarish Jalinoos halwe ke tarah ki Unani dava hai jo pet ki beemariyon jaise gastric, seene ki jalan, khatti dakar ana, bhook ki kami aur kabz ko door karti hai.
JAWARISH JALINOOS KA NUSKHA YA COMPOSITION
Iske composition ki baat karen to isme Balchhad, Taj qalmi, Elaychi khurd, Darchini, Qaranfal, Kulanjan, Nagarmotha, Filfil syah, Zanjbil, Filfil daraz, Udbalsan, Mastangi, Kushtshirin, Asaroon, Chirayta shirin, Tukhm morid aur Zafran mila hota hai.
Banane ka tariqa yah hota hai ki sabhi chizon ko barabar wazan me lekar kut-piskar safoof ya churn banakar chini aur shahad mix kar liya jata hai.
JAWARISH JALINOOS KE FAYDE
Mede ya pet ke rogon ke liye yah achhi dva hai. Yah digestive enzyme ko badhakar hazma theek karti hai. Seene ki jalan, acidity, khatti dakar ana jaisi problem door hoti hai.
Iske istemal se digestion improve hota hai, bhookh badhti hai jis se sehat theek hoti hai.
Yah pet aur aaton ke movement ko sahi karti hai aur kabz ko door karti hai, jis se bawaseer me bhi fayda hota hai.
Pet ki kharabi ki wajah se hone wali munh ki badboo ko door karti hai.
Yah kidney aur bladder ko bhi taqat deti hai, peshab ki jalan aur peshab ki rukawat ko door kar peshab saaf lane me madad karti hai.
JAWARISH JALINOOS KA DOSE AUR ISTEMAL KARNE KA TARIQA
5 se 10 gram tak roz ek bar khana khane ke baad pani se lena chahiye. Yah bilkul safe dava hai, kisi tarah ka koi side effect ya nuksan nahin hota hai. Hamdard jaisi Unani companiyan ise banati hai, ise dava dukan se ya fir online bhi kharid sakte hain niche diye link se-