Habb e hamal aurton ka banjhpan ya Female Infertility door kar bachcha thahrane me madad karti hai. Aurton ke liye yah Unani dava hai jo goli ya tablet ke rup me hoti hai. Ise jadi-butiyon ke combination se banaya jata hai.
HABB E HAMAL KA COMPOSITION
Iske 370mg ke har tablet me- Afyun 1.58mg, Jayphal 44.98mg, Zafran 12.68mg, Bhang 22.11mg, Purana gud 69.5mg, Chhaliya 214.80mg aur Laung 4.40mg mila hota hai.
HABB E HAMAL KE FAYDE
Aurton ke banjhpan ya infertility me iska istemal kiya jata hai. Yah garbhashay ke masals ki kamzori me faydemand hai. Uterine atony, Metritis ya garbhashay ki dusri problem se hone wale banjhpan me istemal kiya jata hai.
Agar conceive nahin kar par rahen aur bachcha nahin thahar raha to iska istemal karna chahiye.
HABB E HAMAL KA DOSE AUR ISTEMAL KARNE KA TARIQA
1 goli subah khali pet aur 1 goli sone se pahle taze pani se period khatm hone ke turant baad sirf 3 dinon tak lena chahiye. Ise roz 3 bar tak bhi liya ja sakta hai. Period ke paanchven ya satven din se lena chahiye.
Iska istemal karte huve ya istemal karne se pahle Majun Hamal, Supari Pak aur Ashokarishta ya Masturin jaisi dava bhi use karne se bachcha thaharne ka chance badh jata hai.
Aagr 3 din me bachcha nahin thaharta hai to fir agle period ke baad use karna chahiye. Hamdard, Rex jaisi Unani company ki yah dava market me mil jati hai. Ise online bhi kharid sakte hain, Hamdard ke 20 tablet ki qeemat 60 rupya hai.