Unani ya Tibb-e-Unani jo hai Greece ka ilaj karne ka paramparik tarika hai. Arab deshon me use hone ki wajh se Islamic Medicine bhi kaha jata hai. Mughal Rajaon ke daur me India aur Pakistan jaise deshon me yah kaafi popular huyi. Asia ke kayi mulkon me iska istemal kiya jata hai. Yah qareeb 5000 saal pahle ka ilaj karne ka tariqa hai.
Unani ek Arabic word hai jiska matlab hota hai ‘Sehatmand Zindagi’ jis symbol of healthy life kah sakte hain. Ise Green word ‘IONIAN’ se liya gaya hai. Unani to ‘Tibb-e-Unani’ bhi kahte hain. Tibb ka matlab hota hai ‘Knowledge’
Greece me Hippocrates ke daur me ilaj karne ka tariqa shuru hua. Unani Dava Hippocratic theory par depend karti hai jisme 4 basic element hote hain jis ‘ANASIR-E-ARBA’ kahte hain jo hi hain- Hava, Pani, Mitti aur Dhoop.
Ayurved me jis tarah se ‘TRIDOSH’ ka siddhant hota hai, Unani me ‘AKHLAT’ hain jo 4 tarah ka mana gaya hai jaise- BALGHAM, DAM(Khoon), SAFRA(Safed pitt), SAUDA(Kali Pitt).
Jab ye charon chiz balance rahti hain to koi beemari nahin hoti aur agar inme se koi ek ya ek se zyada imbalance ya kam zyada ho jaye to beemari ho jati hai.
Unani me mana jata hai ki hamari body 7 tarah ki basic chizon se bana hai jise- ARKAN, AKHLAT, MIJAZ, AAZA, QUWA, ARWAH aur AFAAL kaha jata hai.
Unani me ilaj ke 3 tarah ke main tariqe apnay jate hain jaise
ILAJ-BIL-TADBIR
ILAJ-BIL-GHIZA
ILAJ-BIL-DAWA
ILAJ-BIL-TADBIR- me Ayurved ke Panchkarma ke tarah ke tariqe apnaye jate hain jisme paseena nikalna, khoon nikalna ya Hijama jaise method hote hain.
ILAJ-BIL-GHIZA- me khan-pan ya food par dhyan diya jata hai aur beemari ko door karne wale khane diye jate hain.
ILAJ-BIL-DAWA- me dawayion ka istemal kiya jata hai. Jisme kayi trah ki davayiyan hoti hain.
Unani davaon ke category ki baat karen to isme kayi tarah ki dava hoti hain jaise-
Anoshdaru
Arq
Habb(Pills)
Halwa
Itrifal
Jawarish
Labub
Khamira
Kushta
Majun
Marham
Roghan(Oil)
Safoof
Sharbat
Qurs
Unani ilaj ya iske principal ki baat karen to yah ek bahut bada chapter hai jisme kayi sari detail ati hain. Yahan par main mote taur par Unani Medicine ke bare me bataya hai jise aap admi asaani se samajh sakta hai.