Hamdard Maullaham Do Atisha Ke Fayde – Unanitimes.com

Hamdard Maullaham jo hai zyada umar wale mard aurat sabhi logon ke liye ek behtareen tonic hai jo dil, deemagh aur nerv ko taqat deti hai. Ayiye jante hain Hamdard Maullaham ka composition, fayde aur istemal ki puri detail-

HAMDARD MAULLAHAM DO ATISHA KA COMPOSITION

Ise composition ki baat karen to isme Zafran, Elaychi, Safed zeera, Sandal safed, Sajaz hindi, Gaozaban, Gule surkh, Kishniz khushk, Dana Elaychi khurd, Sad Kufi, Bisfayej, Jauzbua, Bisbasa, Oode gharqi, Ushna, Bekhe Seosan, Darunaj Aqrabi, Darchini, Shaqaqul misri, Tudri surkh, Bahman Safed, Bahman surkh, Tudri zard, Babul, Salab misri, Gospand aur Qand safed jaisi chizon ko milakar banaya gaya hai.

MAULLAHAM KE FAYDE

  • Nervous disorder, Hazme ki kharabi, Low Immunity power, Khoon ki kami ya Anemia, Liver disorder aur taqat ki kami jaisi beemariyon me asardar hai.
  • Dil deemagh aur nerve ke liye yah jani-mani Unani dava aur tonic hai jo mard aurat sabhi ke liye faydemand hai.
  • Yah nerve ko taqat deta hai, hazma durust karta hai aur naya aur healthy khoon banane me madad karta hai.
  • Body ko zaruri nutrition dekar boday ko mazbut aur sehatmand banata hai aur beemariyon se bachne me bhi madad karta hai.

  • Liver aur pet ke function ko sahi karta hai. 

  • Zyada umr ke logon ke liye behtareen tonic hai, winter season me har me umr ke log iska istemal kar fayda le sakte hain. 

HAMDARD MAULLAHAM KA DOSE

4 spoon khana se ek ghanta pahle subah sham lena chahiye. Yah bilkul safe dava hai, kisi tarah ka koi side effect ya nuksan nahin hota hai. Iske 500ML ke bottle ki qeemat qareeb 146 rupya hai, ise Unani dava dukan se ya fir online kharid sakte hain.

WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now
Instagram Group Join Now

Comments

No comments yet. Why don’t you start the discussion?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *