Majun Suranjan classical Unani medicine hai jo jodon ka dard, jodon ka sujan, jakdan aur uric acid ki wajah se hone wali problem ko door karti hai. Toh ayiye jante hain Majun Suranjan ka composition, fayde aur istemal ki puri detail-
Sabse pahle jante hain MAJUN SURANJAN KA NUSKHA YA COMPOSITION-
Iska main ingredients Suranjan shirin naam ki jadi hoti hai. Iske composition ki baat karen to isme Turbud Safed, Roghan Badam Shirin, Halela Zard, Suranjan shirin, Gule surkh, Kishniz kohi, Zanjabeel, Saqmonia, Buzidan, Mahi Zeeraj, Sheetraj Hindi, Bekhe Kebar, Tukhme Karafs, Badiyan, Samandar Jhag, Mirch Safed, Satar, Namak Hindi, Berge Hina aur Shahad jaisi chizon ko milakar banaya jata hai.
Majun Suranjan Ke Gun ya Properties
Yah taseer me normal se thoda garm, Anti-arthritic, Anti-inflammatory, Laxative ya halka dastawar aur Uric acid kam karne wale gunon se bharpur hai.
MAJUN SURANJAN KE FAYDE
- Jodon ka dard, Jodon ki sujan, Gathiya, Har tarah ka Arthritis aur Sciatica jaise rogon ki yah jani maani Unani dava hai jise zyadatar hakeem log istemal karate hain.
- Yah Hazme ko bhi theek karti hai, kabziyat ya constipation ko door karti hai.
- Blood aur jodon me jame Uric acid ko nikalti hai aur body me Calcium ki kami ko door kar haddiyon ko mazbut karti hai.
- Kul milakar yah kah sakta hun ki Majun Suranjan Jodon ke dard ki behtareen davaon me se ek hai jiska istemal kar fayd le sakte hain.
MAJUN SURANJAN KA DOSE AUR ISTEMAL KARNE KA TARIQA
5 se 10 gram tak roz ek bar sone se pahle ya subah sham bhi liya ja sakta hai. Ise Unani dava dukan se ya fir online bhi kharid sakte hain.
बहुत अच्छी दवा है माजुन सुरजान