भारत की सर्वश्रेष्ठ आयुर्वेदिक हिन्दी वेबसाइट लखैपुर डॉट कॉम पर आपका स्वागत है

14 नवंबर 2016

10 दिन में 10 किलो वज़न कम करें | 10 din me 10 kg wazan kam karne ka chamatkari juice


Motape se pareshan logon ke liye aaj main bata raha hun ek asan sa gharelu prayog jiske istemal se aap wazan kam kar sakte hain

Motapa ek vishv vyapi samasya hai jis se lagbhag har desh ke log pareshan hain

Jo log khan-pan par control nahin rakhte aur apni sehat ka khyal nahin rakhte hain unka wazan badh jana aam baat hai

Agar khan-pan ko control karte huve kuchh gharelu upay apnaye jayen to asani se wazan ko kam kiya ja sakta hai

To ayiye jante hain ek asan sa gharlu prayog jiska istemal koi bhi asani se kar sakta hai

Iske liye aapko kuchh chizen chahiye hongi jaise- 

Karela, Karri patta, Dhaniya patti, Adrak, Lahsun, Nimbu aur Kala Namak
Ek medium size ka karela, 8-10 Kari patte, 1 mutthi tazi hari dhaniya patti, thoda sa adarak, 2-3 kali lahsun

Sabhi ko chhote-chhote tukde kar grinder me ek cup paani dalkar pis len aur iske baad chhan kar juice nikal len

Ab is juice me thoda nimbu ka ras dalen aur thoda sa kala namak powder

Achchi tarah mix kar subah subah khali pet din me sirf ek baar pina hai
Ise pine ke ek ghante baad nashta kar sakte hain


Sadharan sa dikhne wala yah juice wazan kam karne me behad asardar hai
Kayi rogiyon par prayog kar prabhavi paya hai

Bina dieting kiye iske istemal se wazan kam hone lagta hai aur sharir ka extra fat kam jata hai

Iska istemal sugar patient bhi kar sakte hain, koi problem nahin hoti balki karela mila hone se sugar me fayda hota hai

Jinko Diabetes, thyroid, hyperthyroid, blood pressure, kidney problem, gallstone ho unko wazan kam karne ke sath saath un beemarioyn me bhi fayda hota hai

Kidney aur gallbladder ki safai ho jati hai aur patthri ghul ghul kar nikal jati hai

Dhaniya patti behtareen anti oxidant hai aur body se fat kam karti hai, pachan shakti sudharti hai aur immunity level badhati hai, sharir ki garmi door karti hai aur toxins ko bahar nikalti hai

Dhaniya patti blood pressure ko normal karne ke liye faydemand hai

Skin theek hoti hai aur baal bhi mazboot aur kale hote hain kari patta ki wajah se. Agar taza kari patta nahin mil paye to sukha huva bhi use kar sakte hai


Adrak jo isme milana hai desi adrak hi len to zyada asar karega

Desi adrak chhote size ki hoti hai aur isme resha kam hota hai

Adrak pachan tantr ko theek karta hai, anti inflammatory hai aur wazan kam karne me madad karta hai

Kaf dosh ko door karta hai jo motape ka karan hota hai

Lahsun me pottasium hone ki wajah se fat kam karta hai aur wazan kam karne me sahayak hai

Lahsun ke bare me detail jankari apne channel par ek video me de chuka hun
Nimbu ka fayda kaun nahin janta, vitamin C se bharpoor sharir se atirikt vasa kam karne me madad karta hai

Kala namak mila dene se yah pachne me asani karta hai aur pet ki gas ko door karta hai

High blood pressure wale rogi kala namak milane se na daren, kala namak se blood pressure nahin badhta hai

Digestion theek hota, kabz ya constipation ki problem door hoti hai

Jin logon ko BP, sugar, thyroid aur kidney ki problem na ho to bhi is juice ko use kar sakte hain aur tezi se wazan kam kar sakte hain

Jaisa ki aap sabhi jante hi honge ki wazan kam karna koi asan kaam nahin hota hai

Aaj bataye gaye juice ka istemal kariye, ise use karne se pahle apna weight kara len aur kuchh din tak use karne ke baad dubara weight kara kar dekh sakte hain ki wazan kam ho raha hai ya nahin

Is juice ke istemal se kayi logon ko fayda huva hai, yah ek behtareen juice hai jis se koi nuksan nahin hota

Jaisa ki aap sabhi jante hi hain ki koi dava ke saath agar kuchh parhez kiya jaye to fayda jaldi milta hai

To iska istemal karte huve bhi oily aur fatty food ka itemal na karen aur ho sake to kuchh exercise, yoga, jogging, running waagairah karen

Pepsi, cola jaise soft drink ko avoid karenge to behtar hai


To doton, iska use kijiye aur apna experience batayiye commnet ke madhyam se

हमारे विशेषज्ञ आयुर्वेदिक डॉक्टर्स की टीम की सलाह पाने के लिए यहाँ क्लिक करें
Share This Info इस जानकारी को शेयर कीजिए
loading...

0 टिप्पणियाँ:

एक टिप्पणी भेजें

 
Blog Widget by LinkWithin