Safed Musli
Iska naam to aapne suna hi hoga, musli do tarah ki hoti hai safed aur kali
Safed musli ka istemal yaun rogon me kiya jata hai
Safed musli bahut hi prachalit aushdhi hai khaskar purush yaun rogon ko door karne aur yaun chhamta ko badhane ke liye
Yaun rogon ke alawa bhi kayi dusre rogon me bhi iske istemal se fayda hota hai
Safed musli ko angrezi me Chlorophytum, Indian Spider Plant aur White Musli ke naam se bhi jana jata hai
Ayurved ke anusar yah sex ichha jagane wala, yaun durbalta door karne wala rasayan ya tonic aushdhi hai
Isme antacid, anti cancer, anti inflammatory, anti arthritic, anti oxidant, cardio protective aur anti stress gun bhi paye jate hain
Ayurved ke alawa iska istemal Yunani aur Homeopathy chikitsa paddhti me bhi hota hai
Jiasa ki aap photo dekhkar samajh sakte hain ki yah ek tarah ka kand ya jad hoti hai, iska kand shatavar ke jaisa hi guchhon me hota hai
Sukhe huve iske kand ko hi davaon me istemal kiya jata hai
Purush rogon me iske vyapak prayog ki wajah se iska demand bahut hai isi wajah se yah mahangi bhi hai
Jangalon ki katai ki wajah se yah ab jangalon me kam hi milti hai aur isi liye bade paimane par iski kheti ki jane lagi hai
Safed musli ugana hamare desh ke kisanon ke liye bahut achha vikalp hai
Safed musli kayi tarah ke prakritik poshak tatv aur khanij paye jate hain jiski
wajah se yah sharir ko prayapt poshan dekar andar se mazboot banata hai
Iske istemal se sex homone testesteron ka level badhta hai jiski wajah se sex ki ichha badhti hai, iske prayog se mahilaon me bhi sex ichha ko badhata hai
Safed musli ke prayog se sperm count bhi badhta hai aur viry ke dosh ko door kar viry ko gadha banata hai
Diabetes ke rogiyon ke liye bhi iska sevan faydemand hai, diabetes ke karan hone wali napunsakta ko door karta hai
Safed musli ka powder bana kar isme mishri milakar doodh ke saath kha sakte hain
Iske liye 100 gram safed musli ke powder me 100 gram mishri ka churna achhi tarah milakar rakh len
1 chammach(6 gram) is churna ko khakar upar doodh pi len, isi tarah se subah sham lene se sharir mazboot hota, yaun shakti badhti hai aur andar se sexual stamina ko badha deta hai
Is se sharir me shakti badhti hai aur aapka mood bhi achha rahta hai, sharir me blood flow ko badhata jis se sharir active rahta hai, badan dard aur thakawat ko door karta hai
Agar aap sirf safed musli ka istemal kar rahe hain to kam se 2-3 mahina iska use karenge tab hi pura fayda dikhega
Shighrapatan ke liye-
Purushon ke rog jaise shighrapatan, virya ka patlapan, erectile dysfunction jaise rogon ko door karne ke liye safed musli ke saath agar dusri 2-3 jadi buti aur milayi jayen to achha rahta hai aur zyada fayda hota hai
Iske liye safed musli, shudh kaunch beej, asgandh aur talmakhana
in char chizon ko barabar matra me lekar kut piskar churna bana len
Is churna ko 1-1 chammach mishri mile huve doodh ke saath bhojan ke baad subah sham len
Iske niyamit prayog se andar se taqat aur mardangi ati hai aur viry gadha ho jata hai
Shighrapatan, erectile dysfunction, swapndosh, dhat rog jasie tamam pursh rog door hote hain
Agar aap iska lagatar istemal karenge to aapka swasth sudhar jayega aur apke stamina ko badha dega aur aap asli mard ban jayenge.
Patanjali Musli Pak Online Khariden
Agar aap jade ke is mausam me 3-4 mahina tak istemal kar lenge to iska asar aapko pura saal dikhega
Duble patle logon ka wazan bhi iske istemal se badh jata hai, ajkal iska istemal body building ke liye bhi kiya jata hai
Arthritis aur Joint pain ke liye-
Jodon ke dard aur sujan me bhi iske istemal se fayda hota hai, Osteo arthritis ke rogiyon ke liye faydemand hai
Astanpan karane wali mahilaon ke liye bhi faydemand hai, unka health maintain karta hai aur doodh badhata hai
Safed musli ka istemal swasth admi bhi kar sakta hai, jinko kaam shakti ki kami ya yaun durbalta ho unhe to adheek dinon tak sewan karna hi chahiye
Safed musli ka prayog ayurved ki anekon davaon me hota hai. Purush rogon ko door karne wali shastriye ayurvedic davaon me to iska samavesh hai hi
Musli pak nam ki ayurvedic dava me safed musli mukhy ghatak hai
Sukhi safed musli aap pansari ke yahan se le sakte hain, mahangi hone ki wajah se isme milawat bhi payi jati hai
Iska bana banaya churn Patanjali ya kisi dusri company ka bhi mil jata hai
Safed musli ke dose ka nirdharan ayu, bal, sharirik chhamta aur pachan shakti ke hisab se hi karna chahiye
Agar aap zyada matra me iska use karenge to pachegi nahin aur fayda nahin hoga
Safed musli ka koi side effect nahin hota, agar sahi matra me prayog kiya jaye
Iska istemal lambe samay tak bhi kiya ja sakta hai koi problem nahin hoti
To doston, ye thi aaj ki jankari Safed Musli ke fayde aur istemal ke bare me. Online Safed Musli khariden niche diye gaye link se-
loading...
0 टिप्पणियाँ:
एक टिप्पणी भेजें