Pani Re Pani Tera Rang Kaisa, Jisme Mila Do Us Jaisa
Pani ka koi rang nahin hota, yah ek colorless liquid hai aur Jal Hi Jivan Hai
Pani un chizon me shamil hai jiske bina jivan ki kalpana nahin ki ja sakti hai
Hamare sharir me sabse zyada jo chiz hai wo hai pani
Pani na sirf hamari pyas bujhata hai balki pachan tantr ko theek karta hai aur dimag ko tazgi deta hai
Prakritik chikitsa me pani ke istemal se kayi sari beemarion ko door kiya jata hai
Pani se hi hamara sharir hydrate rahta hai, to ayiye jante hain pani pine ke fayde, pani pine ka dhang aur pani pine ka sahi samay
Pyas lagne par to hum sabhi pani pite hi hain, par agar bina pyas lage bhi pani piya jaye to iske kayi fayde hote hain
Healthy rahne ke liye hume roz kam se kam 2.5 se 4 liter tak pani pina chahiye, agar aap pani kam pite hain to iski wajah se kuchh problem hone ki sambhavna rahti hai
Agar kabz ya constipation ki problem ho to subah uthte hi 3-4 glass pani piyen, thori der tahalne ke baad toilet jayen to thore dinon me kabz ki problem door hoti hai
Purani se purani kabz door kar ke liye 'Suryatapit Hara Pani' ke prayog ke bare me main pahle hi ek video me bata chuka hun
Subah subah paani pine se acidity aur seene ki jalan jaisi problem me bhi fayda hota hai
Subah uthte hi jitna zyada ho sakte paani pina chahiye, jinko acid ki problem hogi unhe subah pani pine se ulti ho sakti hai par ghabrayen nahin, roz pani piye kuchh hi dinon me sab problem door ho jayegi
Kam calorie hone ki wajah se pani pine se motapa me bhi fayda hota hai.
Agar aap achhi figure chahte hain roz 8-10 glass pani piyen
Sard dard se bachne ke liye ya agar sar dard ho to pani piyen
Agar aap chahte hain ki aapki skin yani tvacha khili-khili rahe to prayapt matra me pani pijiye aur kuchh hi dinon me farq dekhiye. Sirf pani pina kisi bhi anti ageing cream se achha asar dikhata hai
Subah subah khali pet pani pine se chehre par hone wali problem jaise kil, muhanse, jhayiyan, daag, dhabbe me fayda hota hai
Pani pine se pet saaf hota hai bhookh badhti hai, khali pet paani pine se khoob saaf hota hai aur skin problem door hoti hai
Pani hamare sharir se toxins ko bahar nikalta hai, isliye aap jitna zyada pani piyenge, beemariyon se bache rahenge
Pani sharir ki immunity power yani rog pratirodhak chhamta ko badhata hai
Subah subah khali pet pani pine se sabse zyada fayda hota hai, roz subah pani pine ki adat dal len aur ise apne life ka hissa bana len
Ayiye ab jante hain ki pani pine ka sahi samay kya hota hai?
Kab pani pina pina chahiye aur kab nahin?
Subah uthne ke baad to nishchit taur par pani piyen
Bhojan ke turant baad pani nahin pina chahiye, khana khane ke turant baad pani pina hamari common adat hai mostly log aisa karte hain jo ki bilkul galat hai
Ayurved ke anusar khana khane ke turant baad pani pina 'Vish' ke saman hota hai, jiske wajah se pachan sahi nahin hota
Khana khane ke pahle pani pi sakte hain aur khana ke bich me bhi thora pani pina chahiye, khane ke bich me pani pina 'Amrit' ke saman hai
Par khana ke baad pani bilkul nahin pina chahiye
Khana khane ke kam se kam adha ghante ke baad pani pina chahiye
Pani pine ka tariqa-
Pani pine ka sahi tariqa yah hai ki jab ek glass pani pi rahe hon to ise ghoont-ghoont kar 3 saans me piyen
Pani baith kar pina chahiye, kabhi bhi khade-khade pani nahin piyen Khade-khade pani pine se kayi sari beemariyan hone ka khatra rahta hai
To doston, ye thi aaj ki jankari pani pine ke fayde aur pani pine ke tarike ke bare me
In baton ko follow kijiye aur swasth jivan ka anand lijiye
0 टिप्पणियाँ:
एक टिप्पणी भेजें