Muli ek aisi chiz hai jo duniya me lagbhag har jagah milti hai aur iska sabse zyada prayog salad ke rup me kiya jata hai
Iske alawa iski sabzi bhi banayi jati hai aur achar bhi banaya jata hai, muli ke parathe to aap jante hi honge
Muli ko angrezi me 'Radish' kahte hain jo ki hum sabhi is baat ko jante hain.
Ayurved ke anusar muli pitt aur kaf dosh ko door karti hai
To ayiye ab jante hain muli ke fayde ke bare me-
Piles ya bavaseer ke liye-
Bavaseer kaisi bhi ho khuni ya baadi, dono tarah ki bavaseer ke liye muli bahut hi asardar hai. Muli ka juice bana kar pine se khoon ana band hota hai
Piles ki problem ho to roz muli ka istemal kisi bhi rup me karen, fayda milega.
Gas ki problem, Bhookh na lagne aur khana hazam nahin hone par-
Muli ko agar kala namak laga kar khayenge to bhookh badhti hai aur pachan theek hota hai, jisi wajah se khana achhi tarah se hazam hota hai
Pet ki gas ko door karne ke liye muli ka juice ya muli ka salad khayiye
Muli digestive system ko theek rakhne me madad karti hai aur pet ke rogon se bachati hai
Piliya ya Jaundice hone par-
Jaundice hone par muli ke ras ka istemal karna chahiye, iske patton ki chatni banakar khane se bhi fayda hota.
Jaundice ke liye muli bahut hi asardar hai, sharir ke toxins ko nikal deta hai
Diabetes ke liye-
Diabetes ke rogiyon ke liye bhi muli faydemand hai. Muli ke patte sahit ise apne bhojan me shamil kijiye, roz kam se kam ek muli khayiye fayda milega
Peshab ki problem aur patthri ke liye-
Agar kidney me patthri ho aur peshab saaf nahin ata ho to iske liye bhi muli kargar hai, muli ka juice pine se fayda hota hai
Muli gajar aur shaljam ke beej ka kadha banakar pine se patthri ghul-ghul kar nikal jati hai
High blood pressure ke liye-
Muli anti hypertensive ka kaam karti hai aur blood pressure ko control rakhne me madad karti hai
High BP ke rogi muli ko apne bhojan me zarur shamil karen
Agar neend nahin ati ho to sone se pahle ek muli khane se achhi neend ane lagti hai
Motapa kam karne ke liye-
Muli, gajar aur tamatar ke salad ko khane se vazan kam karne me sahayta milti hai. Vazan kam karne ke liye muli ko apne diet me shamil zarur karen
Khaj khujli aur twacha vikaron ke liye-
Muli khane se twacha vikar door hote hain aur chehra saaf hota hai. Agar khujli ki problem ho gayi ho to muli ko pis kar lagayen aur adha ghanta baad dho len, khujli theek ho jayegi
Danton ko chamakdar aur haddiyon ko mazboot banane ke liye-
Muli ke istemal se sharir ki haddiyan mazbut hoti hain aur daant chamakdar hote hain, muli me paye jane wale natural calcium ki wajah se
Ankhon ke liye-
Muli anti oxidant bhi hai aur isme paye jane wale vitamins ankhon ko swasth rakhte hain aur nazar ko tez banate hain
Muli khane se pet ke kide samapt ho jate hain
Kan dard hone par mulie ke ras ko halka garm kar kaan me dalne se fayda hota hai
To doston ye thi aaj ki jankari muli ke fayde ke bare me
0 टिप्पणियाँ:
एक टिप्पणी भेजें