भारत की सर्वश्रेष्ठ आयुर्वेदिक हिन्दी वेबसाइट लखैपुर डॉट कॉम पर आपका स्वागत है

28 नवंबर 2016

Majun Arad Khurma शीघ्रपतन, स्वप्नदोष की युनानी दवा | Majun Arad Khurma Jiryan Ki Dava


Aaj main bata raha hun purush rogon ki Yunani dava Majun Arad Khurma ke fayde aur istemal ke bare me

Jadi butiyon se bani yah Yunani dava hai jo khurma yani chhuhara ke alawa kayi dusri aushdhiyon ka mishran hai

Majun ka matlab hota hai halwe ki tarah bani huyi yunani dava

Majun Arad Khurma ke istemal se shighrapatan, erectile dysfunction, dhat girna aur swapndosh jaise purush rog door hote hain aur iske istemal virya gadha hota hai, shukranuon ki sankhya aur gatishilta badhti hai.

Ayie sabse pahle jante hain ki isme kya-kya milaya jata hai- 

Isme chhuhara ke alawa Jaiphal, Bisbasa, Qaranfal, Magze badam, Magze pambdana, Magze chilgoza, Shatawar, Magze Funduq, Babool gond, Sighara khushk ke alawa chini milaya jata hai aur Majun banane ki vidhi se iska majun banaya jata hai

Majun Arad Khurma Ke Fayde- 


Purush rogon ke liye yah sadharan si dikhne wali par asardar dava hai 

Yan natural tarike se purushon me sex ki ichha ko jagati hai aur performance ko sahi karti hai

Shighrapatan ya jald discharge hone ki problem ke liye bahut hi faydemand hai 
Low libido aur erectile dysfunction ko door karti hai

Blood flow ko badhakar ling me bharpoor tanav lane me madad karti hai aur astambhan shakti ko badhati hai


Swapndosh ko door karne me sahayak hai

Iske istemal se hazma yani pachan shakti theek hoti hai, gas door karti hai aur kabz ya constipation nahin hone deti

Majun Arad Khurma Ka Dose- 

Ise 1 chammach yani 10 gram tak doodh ke saath sone se pahle din me ek bar lena chahiye

Yah puri tarah se herbal Yunani Dava hai jiska koi side effect nahin hota. Heart aur blood pressure ke rogi bhi iska istemal kar sakte hain.


Hamare desh me Yunani dava company Hamdard ke alawa yah dusri yunani company ka bhi mil jata. Ise online bhi kharid sakte hain

To doston ye thi aaj ki jankari Yunani dava Majun Arad Khurma ke fayde aur istemal ke bare me. Ise online khardne ke liye diye gaye link par click karen- 

loading...
हमारे विशेषज्ञ आयुर्वेदिक डॉक्टर्स की टीम की सलाह पाने के लिए यहाँ क्लिक करें
Share This Info इस जानकारी को शेयर कीजिए
loading...

1 टिप्पणियाँ:

 
Blog Widget by LinkWithin