Septilin ek bahut hi prachalit Ayurvedic dava hai jo infection door karne aur immunity badhane me istemal ki jati hai
Infection wale kayi rogon me iska istemal kiya jata hai
Ayurvedic doctor iska istemal gale ki kharash, swasan tantr ya respiratory system ki infection, bronchitis, bar bar hone wali sardi zukam, skin infection, soft tissue infection aur urinary tract infection ke liye karte hain
Giloy mila hone se yah behtareen anti oxidant hai, jwarnashak hai aur liver par achha asar karta hai
Mulethi mile hone ki wajah se white blood cell ki sankhya ko badhata hai, anti viral aur anti expectorant guno se bharpoor hai
Gugul ka mishran iske power ko badha deta hai aur isme dardnashak, anti inflammatory aur gale ki kharash wagairah ko door karne ke gun paye jate hain
Ayiye ek nazar dalte hain Himalaya Septilin ke composition par-
Iske tablet me milaya gaya hai Shudh Gugul
Shankh Bhasm
Maha Rasnadi Kwath
Gurich
Manjith
Amla
Sahjan
Mulethi
Iske syrup ka composition bhi lagbhag same hai, Shankh bhasm ki jagah Trikatu milaya gaya hai
Iska tablet, syrup aur drop sab ek jaisa hi kaam karta hai
Himalaya Septilin Ke Fayde-
Yah puri tarah se Ayurvedic dava hai jo sharir ki rog pratirodhak chhamta ya immunity power ko badhati hai
Yah anti oxidant, anti biotic aur sujan kam karne wali dava hai
Yah bukhar ko kam karti hai
Har tarah ke infection ko door karne aur infection ko jald theek karne ke liye faydemand hai
Health ko maintain karne me madad karti hai
Respiratory system ki infection, skin infection, soft tissue infection, masudon ka sankraman, peshab ka infection ya sharir me kahin bhi infection ho uske liye faydemand hai
Gale ki sujan, khansi, sardi, bronchitits jaise rogon me fayda hota hai
Kisi bhi tarah ka operation hone ke baad jald recover karne me madad karti hai
Sharir me kahin bhi phoda, funsi, ghaav ya zakhm ho to iska istemal karna chahiye
Himalaya Septilin Ka Dose-
2 tablet din me 2 se 3 baar tak pani ke saath lena chahiye
Iska syrup 2-2 chammach din me 2 se 3 baar tak le sakte hain
Ya fir doctor ki salah aur beemari ke anusar iska dose nirdharit karna chahiye
Yah herbal dava hai jiska koi side effect nahin hai. Bachche badon sabhi me iska istemal kiya ja sakta hai
Sugar patient bhi iska istemal kar sakte hain, koi problem nahin hoti
To doston ye thi aaj ki janakri Himalaya Septilin ke fayde aur istemal ke bare me. Ghar baithe online kharidiye niche diye gaye link se-
0 टिप्पणियाँ:
एक टिप्पणी भेजें