Mentat naam ki Himalaya herbal ki dava dimaag ko shakti dene, memory power badhane aur bhoolne ki bimari ko door karne ke liye istemal ki jati hai
Iske alawa dimag ki kamzori, mirgi ya epilepsy me bhi iska istemal kiya jata hai
Bachchon ki learning skill aur yadasht badhane ke liye tatha bistar gila karne ki samasya door karne ke liye bhi iska istemal kiya jata hai
Dimag ko taqat deni wali jani mani jadi butiyon ke mishran se bani puri tarah se herbal dava hai
Kayi sari asardar jadi butiyon ke mishran se bana unique composition hai
Ayiye ek nazar dalte hain isme milayi jane wali jadi butiyon par-
Isme milaya gaya hai
Brahmi (Bacopa Monnieri)-
Mandukparni (Centella Asiatica, Gotu Kola)-
Ashwagandha (Withania Somnifera)-
Vishnukranti (Evolvulus Alsinoides)-
Jatamansi (Nardostachys)-
Tagar (Valeriana Wallichii)-
Vayvidang (Embelica Ribes)-
Badam (Prunus Amygdalus)-
Bach ( Acorus Calamus)-
Amla (Indian gooseberry)-
Haritki ( Terminalia Chebula)-
Guduchi (Tinospora Cordifolia)-
Jyotishmati ( Celastrus Paniculatus)-
Shyonoka (Oroxylum indicum)-
Kapikachchu (Mucuna Pruriens)-
Elaychi (Cardamum)-
Arjuna (Terminalia Arjuna)-
Saunf (Fennel seed)-
Vidarikand (Ipomoea Digitata)-
Salabmisri (Orchis mascula)-
Sonth ( Dry ginger)-
Baheda ( Terminalia belerica)-
Jayphal (Myristica Fragrans)-
Laung (Clove)
Mukta Pishti (Pearl)-
In sari jadi butiyon ke churn aur bhavna ke saath Mukta Pishti yani moti mila hone se yah dava bahut hi asardar ban jati hai
Yahan main bata dena chahunga ki Himalaya Mentat ki kayi variety ati hai jaise- Mentat tablets, Mentat DS tablet, Mentat Syrup, Mentat DS syrup aur Sugar free Mentat DS syrup
Plain se DS zyada asardar hai aur sabhi ka composition almost same hai
Himalaya Mentat Ke Fayde-
Yah ek behtareen Ayurvedic nervine tonic hai jo dimag ko taqat deta hai aur dimag ko mazboot banata hai
Short term memory ya bhoolne ki beemari ko theek karta hai. Mansik asthirta aur mansik shanti deta hai
Aj ki bhag daud bhari zindagi ke karan hone wali chinta aur tanav ko door karta hai
Yah ek behtareen anti oxidant bhi hai, nevous system ko mazboot banata hai
Bachchon ka mind sharp karta hai, yadasth theek karta hai aur padhai me tez banata hai, mansik ekagrata ko badhata hai
Chhote bachche jo sote huve bistar gila kar dete hain, unke liye bhi asardar hai
Tunak mijazi, mood kharab rahna, turant gussa ho jana jaise mansik vikar ko door karta hai
Epilepsy ya mirgi ki bimari me bhi iske istemal se fayda hota hai. Mirgi ke liye ek ayurvedic yog ke bare me agle kisi video me bataunga
Mansik thakawat aur zyada kaam karne ki wajah se hone wale tanav ko door karne ke liye asardar dava hai
Alzheimer, Parkinson jaise rogon me bhi iska istemal sahayak aushdhi ke rup me kiya jata hai
Mentat Ka Dose -
1 se 2 tablet tak subah sham pani se
1 se 2 chammach tak iske syrup ko subah sham lena chahiye ya fir beemari ya chikitsak ke pramarsh ke anusar. Naye rogon me kam matra aur purane rogon me adheek matra ki zarurat hoti hai. Bachchon ko unki ayu ke anusar hi dava deni chahiye
Himalaya Mentat ayurvedic dava hai jiska istemal lambe samay tak kiya ja sakta hai koi side effect nahin hota puri tarah se safe dava hai
Himalaya ke products lagbhag puri duniya me mil jate hain, ise lene ke liye aap nazdiki pharmacy me pata karen. Agar nahi mile to online bhi purchase kiya ja sakta hai
To doston, ye thi aaj ki jankari Himalaya Mentat ke fayde aur istemal ke bare me. Online khariden niche ke link se-
0 टिप्पणियाँ:
एक टिप्पणी भेजें