Aaj main bata raha hun Alarsin Fortege tablet ke fayde ke bare me
Fortege naam ki Alarsin company ki yah dava purush rogon ke liye jani mani dava hai jiska istemal ayurvedic doctor kayi salon se karte aa rahe hain
Jadi butiyon ke mishran se bani yah dava puri ayurvedic aushdhi hai
Iske istemal se napunsakta, shukranuon ki sankhya ki kami, shukranuon ki gatishilta ki kami, prostate gland ki vridhi, peshab ki problem aur tanav ityadi door hote hain
Alarsin Fortege me kayi sari jadi butiyan milai gayi hain jaise- Jeevanti, Kamboji, Kaunch beej, Shudh Kuchla, Samudra sokh beej, Vardhara beej, Ashwagandha, Laung, Pipal, Bacha, Kali mirch, Sonth, Kabab chini, Akarkara, Safed chandan, Vidhara, Jayphal aur Javitri
In sari jadi butiyon ka mishran ise asardar dava bana deta hai
Alarsin Fortege Ke Fayde-
Fortege ke istemal se purush rogon aur mutr sansthan ke rogon me fayda hota hai
Shukranuon ki sankhya ko badhata hai aur inhe active banata hai
Viry ki matra ko badhata hai aur viry ko gadha karta hai
Sex ki ichha aur sexual stamina ko badhata hai jis se shighraptan aur jald discharge hone me bhi fayda hota hai
Depression, Chinta aur tanav ko door karta hai jis se sexual performance behtar hota hai
Badhe huve prostate gland ko normal karta hai
Yah pachan shakti ko bhi sudharta hai, jis se health improve hota hai
Mahilaon ke liye bhi faydemand hai Menopause ke samay hone wali pareshani, bechaini, thakawat ko door karta hai
Alarsin Fortege ka Dose-
1 se 2 tablet din me do baar
Infertility ya shukranuon ki sankhya ki kami ke liye 2-2 tablet din me 3 baar tak lena chahiye
Is ke istemal se viry ki matra bhi badh jati hai aur viry gadha ho jata hai
Kam se kam 3 mahina tak istemal karne se shukranuon ki sankhya 10 guna tak badh jati hai
Prostate gland ke liye iske saath Alarsin Bangshil lene se zyada fayda hota hai. Iske liye Bangshil aur Fortege tablet dono 1-1 ya 2-2 tablet subah sham lena chahiye
Yah non-hormonal ayurvedic dava hai, lambe samay tak istemal karne se bhi koi side effect nahin hota
Iska istemal Ayurvedic doctor ki salah se karna chahiye.
loading...
0 टिप्पणियाँ:
एक टिप्पणी भेजें