Alarsin Bangshil tablet ke istemal se mutr sansthan se related saari problem door hoti hai
Iske istemal se peshab ki jalan, dard, bund-bund peshab hona, baar baar peshab hona, Cystitis, Prostate gland ka badh jana aur peshab me crystal ana jaisi problem door hoti hai
Bangshil tablet kayi sari jadi-butiyon aur bhasmon ke mishran se bani Ayurvedic dava hai
Isme Bang bhasma, Makshik bhasma, Kasis bhasma, Gugul, shilajeet ke alawa 40 se zyada tarah ki jadi-butiyan milai gayi hain
Itni sari jadi-butiyon aur bhasmo ke mishran se yah dava behad asardar ban jati hai
Bangshil Ke Fayde-
Bangshil tablet puri tarah se ayurvedic dava hai jo ki natural anti septic aur anti biotic ki tarah kaam karta hai
Peshab ki infection ko door karta hai, peshab me crystal ane me faydemand hai
Peshab ki jalan, peshab karne me dard hona, bund-bund peshab hona, baar-baar peshab hona, peshab rok nahin pana jaisi problem ko door karta hai
Cystitis, Pyelonephritis, Pyelitis, Urethritis aur peshab me Phosphate, Uria ane jaisi problem ko door karta hai
Badhe huve Prostate Gland ki size ko normal karta hai
Mahilaon ke purani Vaginitis me bhi faydemand hai
Bangshil Tablet Ka Dose-
2 tablet din me 2 se 3 baar tak
Problem zyada ho to 2 tablet 3 se 4 baar tak lena chahiye, Normal hone ke baad 2-2 tablet 2 baar
Prostate gland ke liye Bangshil ke saath Alarsin Fortege tablet lene se jaldi fayda hota hai
Alarsin Bangshil tablet surakshit ayurvedic dava hai jiska koi side effect nahin lambe samay tak istemal ki ja sakti hai
Fir bhi ise Ayurvedic doctor ki salah se istemal karna chahiye, kyunki aapka doctor hi iska sahi dose nirdharit kar sakta hai
To doston, ye thi aaj ki jankari Alarsin Bangshil tablet ke fayde aur istemal ke bare me.
loading...
0 टिप्पणियाँ:
एक टिप्पणी भेजें