Garmi ke mausam me milne wala yah phal apne guno se
bharpur hai. Iska istemal kar log garmi me taro taaza mahsoos karte hain. Tarbooz
ko hum sabhi log jante hain aur ye kisi parichay ka mohtaj nahin hai. Garmiyon
me bade chaav se khaya jane wala yah phal lagbhag duniyaan me har jagah milta
hai.
Isme carbohydrate, protein, fiber, vitamin A B C ke alawa
kayi sare minerals jaise potassium, magnesium, calcium aur phosphorus waghairah
paye jate hain.
Ayiye ab jante hain ki iske kya kya fayde hain?
Motapa kam karta hai.
Tarbooz ka istemal motapa ko kam karne me madadgar ho
sakta hai. Isme paye jane wale tatvon ki wajah se.
Blood pressure control karta hai.
Sharir me paani ki matra ko banaye rakhta hai
Ankhon ko swasth rakhta hai aur aank ki raushni badhata
hai
Mood theek karta hai.
Jin logon me tanav ke karan mood theek nahin unke liye
tarbooz ka istemal kaafi faydemand hai. Jinko zyada gussa ata hai unke liye bhi
yah laabhkari hai
Kidney ko healthy rakhta hai
Dil ko mazboot karta hai
Cancer se bachav karta hai
Body ki energy level ko badhata hai
Anti oxidant ka kaam karta hai
Sexual power ko banaye rakhta hai aur ise mazbooti deta
hai
Bhook badhata hai aur hazma theek karta hai
Beauty ko badhata hai. Chehre ke kale dhabbe ko mitata
hai. Iske liye iske gude ka lep chehre par lagana chahiye
Balon ko jhadne se rokta hai
Khana khane ke baad tarbooz ka juice pine se khana jaldi
hazam ho jata hai. Aur neend bhi achhhi ati hai.
Tarbooz ke beej bhi vitamin aur minerals se bhare hote
hain aur isi wajah se iske beej ka istemal ayurvedic dawaon me kiya jata hai.
Tarbooz ke beej ka istemal kidney aur peshab ki beemari me kiya jat hai. Iske
beej khane yaa beej ke tel ko lagane se aapki skin mulayam aur chamakdar hoti
hai.
Keel muhanson ke liye iske beej ka tail chehre par lagane
se fayda hota hai.
Tarbooz ke beej ko ubal kar chay ki tarah pine se
blood sugar ko control karta hai. Jinka blood sugar upar niche hote rahta hai
unke liye faydemand hai.
To doston aapne jana tarbooz ke fayde. Aur nayi jankari
ke liye please is website ko subscribe kijiye. Bahut bhut shukriya dhanyawad
apna qimti time dene ke liye.