Drakshasava ek shastriye ayurvedic dava hai jo ek behtareen tonic hone ke saath saath kayi bimariyon ko door karta hai
Iske istemal se kamzori door hoti hai aur sharir ko taqat milti hai iske alawa gas, apach, piles, sar dard, khoon ki kami, piliya, khansi, saans ki problem aur bechaini jaisi samasya bhi door hoti hai
Ayurved matanusar yah aampachak aur tridoshnashak hai
Drakshasav jaisa ki naam se hi pata chalta hai ki iska mukhy ghatak 'Draksha' yani angoor ya kishmish hai
Drakshasava liquied form me syrup ki tarah hota hai, isme kishmish ke alawa kayi dusri jadi butiyan bhi milai jati hain jo is prakar hain-
Mishri, Shahad, Dhatki, Kabab chini, Laung, Elaychi, Dalchini, Tezpat, Nagkeshar, Jayphal, Kalimirch, Chitrak, Chavya, Piplamul, Nirgundi vagairah
Asav arisht banane ki vidhi se sandhan ke baad iska nirman hota hai. Isme 5 se 10% tak self generated alcohal hota hai jo ise tezi se asar karne wala bana deta hai
Yahan main batana chahunga ki is natural alcohal ki wajah se koi nuksan nahin hota hai, har shastriye ayruvedic dava me kuchh percent natural alcohal hota hai
Ab ayiye jante hain Drakshasava ke fayde ke bare me-
Drakshasava natural tarike se banayi gayi 100% herbal dava hai
Drakshasava kamzori ko door karta hai, sharir ko shakti deta hai aur digestion theek karta hai
Thakavat, laziness, bechaini, kisi kam me man nahin lagna, neend kam ana jaisi problem ko door karta hai, chusti furti aur sharir ko tazgi deta hai
Iske istemal se pachan tantr mazboot banta hai. Gas, apach, badhazmi, seene ki jalan aur colitis jaisi problem door hoti hai
Liver ko mazboot banata hai, bhookh badhata hai aur kabz ya constipation ki problem ko door karta hai
Drakshasava ke prayog se bavaseer me bhi fayda hota hai, yah bleeding ko rokta hai aur bavaseer ko door karne me sahayak hai
Bukhar aur bukhar ke karan hone wali kamzori ko door karta hai, khoon ki kami ko door karta hai ji se anemia me fayda hota hai
Khansi me iske istemal se fayda hota hai aur swasan tantra ko mazboot banata hai. Har tarah ki khansi aur fefdon ki kamzori door karne ke liye Draksharishta zyada asardar hota hai
Drakshasava ka dose-
15 se 30 mililiter tak adha cup pani me milakar khana khane ke turant baad subah sham lena chahiye
Bachche bade, budhe sabhi log iska istemal kar sakte hain par iska dose umar ke hisab se hona chahiye
Drakshasava kayi sari ayurvedic companiyan banati hain jo hamare desh bharat me har jagah ayurvedic medical me mil jata hai
Bharat ke bahar dusre deshon ke log ise online kharid sakte hain
To doston ye thi aaj ki jankari ayurvedic health tonic Drakshasava ke bare me
Agar aapko koi achhi ayurvedic tonic ki talash hai to yahi aapke liye best hai.
0 टिप्पणियाँ:
एक टिप्पणी भेजें